To aap bilkul sahi post par aaye hai, isme me aapko batane wala hu, SEO kya hai, kaise SEO karte hai or kitne type ke SEO hote hai jo hamari site ko search engine (google) me lane me madad karte hai.
Agar aapne abhi abhi blogging start ki hai or aap iss baat se paresan hai ki aapki site search karne par top par q nahi aati, to iska sidha sa matlab hai aapko SEO kya hai or wo kitna jaruri hai ye aapko pata nahi hai.
Iss Post me ham bilkul basic se start karege, taki jo abhi bilkul new hai wo bhi samaj sake, or SEO ke jitne bhi Topic hai unke ware me HMH.pe phele hi share kar chuke hai unki link bhi aapko post me mil jayegi.
SEO Kya Hai ?
Seo Kya hai: SEO ka meaning Hota hai (Search Engine Optimize).
Simple sabdo me kahe to, Search Engine Optimize ka matlab hai hamari site ko iss trha se teyar karna ki usme kya hai wo search engine (Google, Yahoo, Bing) achi se samaj sake or search me dikhaye.
Ye to aap jante hi hoge ki ham kuch bhi google me search karte hai to google hame kisi site ki link de deta hai, SEO me ham Google ko hi batate hai ki hamari site me ye hai. tkai jab koi search kare to google hamari site ko search result me dikhaye.
SEO Kitne Prakar ke hote hai ?
SEO ka matlab to aap samaj gaye, ki site ko search engine achi se samaj sake uss trha se teyar karna.. par isme bhi bhut si chije aati hai.. par agar ham isko main 2 part me dekhte hai:
- On Page SEO
- Off Page SEO
On Page SEO kaise karte hai uske ware me detail me har ek point ko bataya huaa hai, aap usko jarur read kare.. q ki agar aapko ON Page SEO kya hai samaj aa gaya or usko kaise karte hai to aapka 60% kaam to bina mhenat ke ho jayega.
On Page SEO me kya hota hai:
- Title
- Meta description
- permalink
- Keyword
- Internal Link
- Content length
- Image optimize
- Site loading speed
Ye sab On Page SEO me aate hai, inka kya matlab hai or kaise inka use hai wo sab aapko SEO Page SEO ki post me mil jayega.
Off Page SEO kya hai wo bhi aap naam se samaj gaye goge, matlab wo SEO jo Page se hatkar karna hai.. Matlab site par jo bhi dalna tha, jo bhi setting karni thi wo sab ON Page SEO me kardi..
khene ka matlab wo sab kuch jisse site search me me aaye or jo site se bhar ho wo Off Page SEO hota hai.
Off Page SEO kya hai or wo kaise karte hai uski detail Post bhi aapko HMH.pe mil jayegi, aap On Page SEO ko sikhne ke baad Off Page SEO ko bhi achi se samje.
Off Page SEO me kya kya hota hai:
- Backlink (High Quality Backlink)
- Social Signal
- Guest Post
- Link Exchange
- Paid Promotion
- Directory submission
- Pinging
- Forum
- Submit site map to Google
Ye sab Off Page SEO me aate hai, or inke aalawa bhi jo page se hatke karte hai site ko search me lane ke liye wo sab bhi Off Page SEO me aata hai.
At Last:
Agar aap abhi New hai or aapko SEO ki jada jankari nahi hai, to aap iss post ko read karke itna to samaj gaye hoge, SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization, jisme ham wo sab kuch karte hai jisse search engine hamari site ko achi se samaj sake or search me dikhaye.
Upar Post me mene bhut se useful article ki link add ki hai, aap un sabhi ko read kare, to aapko SEO ki achi jankari ho jayegi.. kaha se start karna hai wo thoda or me aapko bata deta hu.
Sabse phele On Page SEO kya hai or On Page SEO kaise karte hai usko achi se samje or apne Blog/Website me uss chij ko apply kare. On Page SEO ki har ek point ko achi se samajne ki kosis kare..
Agar aapko On Page SEO samaj aa gaya to aapko adhe se jada kaam to bina kare hi ho jayega, agar isme kahi koi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai.
Jab On Page SEO ko achi se samaj le, or uske har ek point ko apni site me implement karna sikh le, uske baad Off Page SEO kya hai wo sikhe.. Off Page SEO me bhut si chije aati hai, par usme sabse main Backlink ko mana jata hai..
Last me sirf itna khena chahugi, agar aapne SEO kya hai or usko kaise karte hai ye achi se samaj liye to fir aapko kabhi iss baat ke liye sochna nahi padega ki site search me q nahi aa rahi
Mere hisab se agar aapko aaj SEO ke ware me bilkul bhi jankari nahi hai, or agar aap SEO sikhna chahe hai to jada se jada 3months me aap SEO ke ware me sab kuch saikh sakte hai.
No comments:
Post a Comment