Friday, July 12, 2019

Online Game Kaise Banate Hai free mai game banane ka tarika 100% sure

Online game kaise banate Hai???

 Dosto kiya apko online Gameing ka shok hai? Kiya aap chahte hai ki khud Game banaye aur usko apke friends bhi khele? Ab ho jaiye teyar aaj is post me Game kaise banate hai iski jankari share kar rahi hu. Aaiye jane ki Game banane ka tarika kiya hai aur Game Ko Bina Coding Kiye Kaise Banaye.




Yah kam kafi easy hai. isko banane ke liye kisi bhi tarah ki programming skills ya coding knowledge ki bhi jarurat nahi hai. Internet par bahut si website hai, jinki madad se aap khud game bana sakte hai. Apne hisab se se inki Stage aur level complate kar sakte hai, aur jarurat ke anusar unka difficulty level salect kar sakte hai. Ek bar game banane ke bad usko apne friends ke sath share bhi kar sakte hai.

Online Game Banane Ke Liye Kin Kin Chizo Ki Jarurat Hai.

Game banane ke liye apke pass jo hona chahiye unki list dekhe.
1. Ek computer ki jarurat hai.
2. Apke computer me flash player install hona chahiye.
3. Internet connection hona chahiye

Isme Feature Kon Kon Se Honge


Yah Game aap banane ja rahe ho usko apne dosto ke sath share kar sakte hai. Facebook, Twitter jaise social sits par bhi share kar ke khel sakte hai. isko aap jub chahe phir se edit kar sakte hai. isko android game khel sakte ho. Sabe achi bat yah hai ki bina kisi knowledge aur experience ke isko banaya ja sakta hai.

Online Game Kaise Banate Hai

Me jo tarika bata rahi hu, aap usko step by step follow kare.

Step 1.

Sabse pahle http://www.sploder.com par jaye aur Sing Up par click Kare.

Ab Registration karne ke liye ek page khulega usme apko apni details bhar kar ragister karna hai.
  • Isme user name dalna hai.
  • Password dale.
  • Jo password pahle dala hai wah isme phir se dale.
  • Apna Email address dale.
  • Phir se wahi mail address dalna hai.
  • Isme Tick mark kare.
  • Isme bhi tick mark kare.
  • Sabse last me Register ke Button par click kar de.

    Step 2.

    Ab apne isme Register kar liya hai. Ek new page open hoga, isme Make A Game ke option par click kare.

    Step 3.

    Click karne ke bad alag alag tarah ke game milenge banane ko koi bhi salect kare, apko jaisa bhi banana hai.

    Step 4.

    Choose karne ke bad editor ka page aayega isme aapko apne hisab se game create karna hai. Isme bahut sare tool diya gaya hai aap jaisa chahe design kar sakte hai.

    Step 5.

    Jub aap game ko bana ke complate kar le, to test ke option par click kar ke chack kar le ki sahi se bana hai. uske bad publish ke option par click kar de.

    Step 6.

    Ab apka online game ban gaya hai isko apne dosto ke sath share ker ke online khel sakte hai
  • Dekha apne kitna easy hai koi bhi kisi tarah ka online game banana. Dosto yah jankari apko kaisi lagi ya iske bare me apka koi sawal hai to comment kare.


No comments:

Post a Comment

"Backlinks क्या हैं और यह SEO के लिए क्यों फायदेमंद हैं

नमस्कार, “Backlink”  search engine optimization  में सबसे ज्यादा use होने वाले शब्दों में से एक है।बहुत से bloggers जिन्होंने recentl...